Saturday, 11 October 2014

LESSON:10-Surah An'aam Ayat No-151 main Allah'Ta'Aala ne Tumhain Wasiyat ki hai, Yani Allah'Ta'AalaAllah ne Ummat ko Huqum diya hai,

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:05-Touheed Tamam ibadaton ki buniyad hai.
LESSON:10-Surah An'aam Ayat No-151 main Allah'Ta'Aala ne Tumhain Wasiyat ki hai, Yani Allah'Ta'AalaAllah ne Ummat ko Huqum diya hai.

•"(Aye Muhammad ﷺ) Keh dijia ki aao main tumhain wo cheezain padhkar sunaun jo tumare Rab ne tum par Haram ki hain, (Wo) yah ki tum uske sath kisi bhi cheez ko shariq na thehrao"
-Surah An'aam Ayat No-151

•Tafseer: Es ayate-mubaraka main "Allah tashriqu bihi shay'an" se pehele "Wassakum" chhupa hua hai,(Arabi Ayat main)
Jiska matlab yah hai ki Allah'Ta'Aala ne tumhain Wasiyat ki yani Huqum diya hai, ki tum uske sath kisi bhi Cheez ko shariq na thehrao, Yahan Wasiyat se Sharai Wasiyat muraad hai,
Allah'Ta'Aala ki 'Sharai Wasiyat' ka matlab yah hota hai ki wo Huqum Wajib aur jaruri hai,
-Kitabbut Tauheed Page No-10 &11
(Tafseer By Saleh Bin Abdul Aziz)
_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood
by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

No comments:

Post a Comment