Friday, 3 October 2014

Part:03-Tauheed Ki Kisme

-ISLAM ka Buniyadi Aqeedah-

Part:03-Tauheed Ki Kisme
Lesson:05-Taudeed-E-Rabubiyat ki zarurat kyon pesh aai?

•Tauheed ki yah taqseem Rasool Allah ﷺ ya Sahaba Qiram (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) main se kisi ne nahin ki, Kyonki us waqt Islam ke es Buniyadi-Aqeede ke kharab hone ki zarurat mehsoos nahi ki gai,

•Lekin Tauheed ki 3 kisme
1)Tauheed-E-Rabubiyat| 2)Tauheed-E-Uluhiyat
3)Taiheed-E-Asma wa Sifaat, Buniyadi taur par Qur'an ki Ayat, Nabi-E-Qareem ﷺ ki Hadis aur Riwayat Sahba-E-Qiram (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) ke yahan mil jati hain.

•Jab Islam Egypt, Iran, Hindustan main pahuncha aur yahan ke logo ki soch or aqeede esme dakhil hone lage, tab Tauheed ki en kismo ko wajeh(clear) karne ki zarurat pesh aai,

•Yah ek bilkul fitri baat thi ki jab en desho ke log Islam laye to apne purane mazhab ke kuchh aqeede bhi sath laye,
Jab un naye ilmi musalmano ne Zaat-E-Khuda ke bare main tarah-tarah ke falsafiyana(jin bato ki buniyad aqal par ho) bato par behas or likhai ka kaam shuru kiya to esse Islam ke buniyadi Aqeede tauheed ko khatra samne aaya.
-The fundamentals of Touheed(हिन्दी) Page No-16
(Dr Bilal Philips)
__________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
__________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups & Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +91XXXXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

No comments:

Post a Comment