|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||
PART:04-Shirk ki Kisme
LESSON:08-Shirk E Asgar(Chhota Shirk) in the Light of Sahih Hadis.
•Mehmood Ibn Lubaid se Riwayat hai ki Nabi-E-Qareem ﷺ ne farmaya: "Main tumhare baare main jis baat se sabse jyada darta hoon, vah Chhota Shirk hai,"
Sahaba ne arz kiya 'Ya Rasool Allah ﷺ Chhota Shirk kya hai?"
Irshad hua: Riya(Dikhawa) koi shaq nahi, Hashra ke din jab Allah'Ta'Aala hisaab farmayega, Aur logo ko badla diya jayega to vah Dikhawa karne walo se kahega? unhi ke paas jao jinki khatir tum Duniya main Dikhawa karte the, Aur dekho wo tumhain kya sabab dete hain,
(Bayheqi, aur Tabrani ne ese Ahmad se riwayat kiya hai)
-The fundamentals of Touheed(हिन्दी) Page No-52
•Mehmood bin Lubaid se majeed Riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ tashreef laye or farmaya: "Logo! Chhote Shirk se bacho, Sahaba ne arz kiya ya Rasool Allah ﷺ yah Shirk kya hai?
Farmaya: Ek aadmi ibadat ke liye khada hota hai aur usme Husn aur Kashish paida karne ki koshish karta hai,
Kyonki log use dekh rahe hain, to yah Chhota Shirk hai.
(Ibne Khuzaima ke mazhua se sabhar)
-The fundamentals of Touheed(हिन्दी) Page No-53
_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages|
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!
No comments:
Post a Comment