Sunday, 5 October 2014

11 SABIT AMAL JINHE EID K DIN KIYA JAE

|| 11 SABIT AMAL JINHE EID K DIN KIYA JAE ||

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله ، وبعد

1 – Magrib k baad se Eid ki namaz tak Taqbeer padna Mustahab he.

Taqbeer is tarah padna chahiye:-

Allaahu akbar, Allaahu akbar, laa ilaaha ill-Allaah, Allaahu akbar, Allaahu akbar, wa Lillaahi’l-hamd

Ya phir ye taqbir b padhsakte he:-

Allaahu akbar, Allaahu akbar, Allaahu akbar, laa ilaaha ill-Allaah, Allaahu akbar, Allaahu akbar, Allaahu akbar, wa Lillaahi’l-hamd

Mard zor se b padh sakte he, Aurto ka zor se taqbir padna mana hai.

2 – Eid ul fitr ki namaz ko Jane se pehle taaq tadad me khajur khaae ( 1,3,5 ya 7...), Aur
•Eid ul Azha ki namaz ko jane se pehle kuch na khye, balki namaz k baad khaye

3 – Gusl karna mustahab hai.

4 –  Mard Nae ya phir Ache kapde jo unke pas ho woh pehne. [Aurte eid ki namaz me parde se jae]

5 – Eid ki Namaz Mard ho ya Aurat dono ka ada karna zaruri hai.
Note: Agar aurat haiz se ho toh Eidgah jae aur wha bethe, NAMAZ ADA NA KARE.

6 – Eid ki Namaz me Imam Pehli rakat mein  Sabbih isma rabbika al-A‘ala (Soorat al-A’la 87) ya phir
Soorat Qaaf (50) pade aur Dusri rakat mein  Hal ataaka hadeeth ul-ghaashiyah (al-Ghaashiyah 88) ya phir Soorat al-Qamar (54)  pade.

7 – Masjid pahuchne ke baad Tahiyatul Masjid ki namaz pade bina Masjid me na bethe.

8 – Eid ki Namaz se pehle Zakat al fitr ada karde.( agar eid ul fitr he toh )

9 – Eid k din ek dusre se milte waqt ye dua pade :
‘Taqabbal Allaahu minna waminkum (may Allaah accept from you and us ).”

10 – Eid k din ek raste se Eidgah jae aur dusre raste se laote.

11 – Eid ki namaz se ghar akar 2 rakat namaz ada karle.

-Zyadatar points Majmoo Fatawa Ibn uthaymeen 16/216-233  se liye hue he.

Note:-
1) Eid k din gale milna sabit nahi, agar koi bhai milne k liye aae toh usey dur b na kare.

2) Eid k din ko khas bna kar kabrastan me jana sabit nahi.

3) Eid k din roza rakna sakht mana he.

‘Taqabbal Allaahu minna waminkum (may Allaah accept from you and us ).”
_____________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_____________________________________________
From: Talib E Elm Group
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups & Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +91XXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

No comments:

Post a Comment