Saturday, 8 November 2014

LESSON:11-Allah ka Bando par, Aur Bando ka Allah par Haq

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:05-Touheed Tamam ibadaton ki buniyad hai.
LESSON:11-Allah ka Bando par, Aur Bando ka Allah par Haq

•Hazrat Mu'Aaz Bin Jabal (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) Farmate hain:
Ek baar main Nabi-E-Qareem ﷺ ke peeche Gadhe par sawar tha ki aap ne mujhse farmaya:
Aye Mu'Az(Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu)! Kya tum jaante ho Allah ka Bando par aur Bando ka Allah par kya Haq hai?
Maine kaha "Allah or uske Rasool hi behtar jaante hain"
Apne faryama "Allah ka bando par tah Haq hai, ki wo sirf usi ki ibadat kare, Aur uske sath kisi ko shariq na thehrayen, Aur bando ka bhi Allah ke jimme yah Haq hai ki jo banda Shirk karne wala na ho, wo use Azaab na dey"
(Mu'Aaz Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu kehte hain)  Maine Kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! (Ejazat ho to) Logo ko yah Khush-khabri suna dun? Aap ne farmaya: "Aisa na ho ki wo esi par bharosa karke baith jayain, (Aur amal karna chhor dain)"
-Sahih Bukhari Hadis No-6267
-Sahih Muslim Hadis No-30

•Eske baad aapne farmaya "Allah'Ta'Aala ke jimme Bando ka yah Haq hai ki jo banda uske sath kisi ko shariq na thehraye to wo use Azaab na dey"

•Ahle ilm es baat par ekhatte hain ki bando ke liye Allah'Ta'Aala ne yah Haq apne Upar Khud-Ba-Khud Zaruri kiya hai, warna koi hasti ya Shakhsiyat aisi nahin jo Allah'Ta'Aala par kisi cheez ko zaruri kar sake,

• Allah'Ta'Aala Hiqmat ke Aitbaar se jis cheez ko chahe apne upar Wajib ya Haram kar leta hai, jaisa ki ek Hadis-E-Qudsi main hai, ki "Main (Allah'Ta'Aala) ne Zulm ko apne upar Haram kar rakha hai" yani main kisi par zulm nahi karta
-Kitabbut Tauheed Page No-14
(By Saleh Bin Abdul Aziz)

_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

No comments:

Post a Comment