|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||
PART:06-Touheed ki badhai aur usse Gunaho ke mitne ka bayan
LESSON:12-Jo Banda Touheed ke Eqrar aur Aitraaf main jis qadar majboot ho vo usi qadar Jannat main dakhil hone ka Haqdaar hota hai, uske Amal chahe kaise hi hon, esliye Emam Mohammad (Rahamt'tullah'alay) ne Surah An'aam ki Ayaat No-82 bayan ki hai.
•Jo log Imaan laye aur unhone apne Imaan ko Julm(Shirk) se nahin milaya, un hi ke liye Aman hai aur vahi sidhe raste par hain.
-Surah An'aam Ayat No-82
•Tafseer
Zulm ka Matlab: es Ayat main 'Zulm' se muraad Shirk hai. jaisa ki 'Abdullah Bin Mas'ud (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) marvi hai, ki Sahaba Qiram (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) ne
es Ayat ko apne liye Azeem(Bojh or Mushqil) samjha to unhone arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Hum main se kon hai jisne apne upar Julm na kiya ho?
Apne farmaya: "Eska wo matlab nahin jo tum samjhte ho balki yahan 'Zulm' se murad 'Shirk' hai, kya tum ne Allah ke Neq Bande(Hazrat Luqman A.S) ka yah Qaul nahi suna,
(Hazrat Luqman ne apne bete se kaha)
•Beshaq Shirk bohat bada Zulm yani Gunah hai,
-Surah Luqman Ayat No-13
-Bukhari Hadis No-4776
_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!
No comments:
Post a Comment