Saturday, 11 October 2014

LESSON:10-Surah An'aam Ayat No-151 main Allah'Ta'Aala ne Tumhain Wasiyat ki hai, Yani Allah'Ta'AalaAllah ne Ummat ko Huqum diya hai,

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:05-Touheed Tamam ibadaton ki buniyad hai.
LESSON:10-Surah An'aam Ayat No-151 main Allah'Ta'Aala ne Tumhain Wasiyat ki hai, Yani Allah'Ta'AalaAllah ne Ummat ko Huqum diya hai.

•"(Aye Muhammad ﷺ) Keh dijia ki aao main tumhain wo cheezain padhkar sunaun jo tumare Rab ne tum par Haram ki hain, (Wo) yah ki tum uske sath kisi bhi cheez ko shariq na thehrao"
-Surah An'aam Ayat No-151

•Tafseer: Es ayate-mubaraka main "Allah tashriqu bihi shay'an" se pehele "Wassakum" chhupa hua hai,(Arabi Ayat main)
Jiska matlab yah hai ki Allah'Ta'Aala ne tumhain Wasiyat ki yani Huqum diya hai, ki tum uske sath kisi bhi Cheez ko shariq na thehrao, Yahan Wasiyat se Sharai Wasiyat muraad hai,
Allah'Ta'Aala ki 'Sharai Wasiyat' ka matlab yah hota hai ki wo Huqum Wajib aur jaruri hai,
-Kitabbut Tauheed Page No-10 &11
(Tafseer By Saleh Bin Abdul Aziz)
_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood
by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

LESSON:09-Surah Nisa Ayat No-36 Yah ayat Shirk ki tamam kismo se bachne par dalalat karti hai, chahe ho Shirk Bada, Chhota, or Chhupa hua kyon na ho

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:05-Touheed Tamam ibadaton ki buniyad hai
LESSON:09-Surah Nisa Ayat No-36 Yah ayat Shirk ki tamam kismo se bachne par dalalat karti hai, chahe ho Shirk Bada, Chhota, or Chhupa hua kyon na ho

•Aur tum sab Allah ki bandgi kro, aur uske sath kisi bhi cheez ko shariq na thehrao.
-Surah Nisa Ayat No-36

•Tafseer: Es ayat se malum hota hai, ki kisi Farishte, Nabi, Neq Aadmi, Patthar, Darakht, ya Jinn, vagerah ko Allah'Ta'Aala ke sath shariq thehrane ki bilkul ijazat nahi kyonki yah sab chize hain.

_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
Www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

Friday, 10 October 2014

LESSON:08-Shirk E Asgar(Chhota Shirk) in the Loght of Sahih Hadis

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:04-Shirk ki Kisme
LESSON:08-Shirk E Asgar(Chhota Shirk) in the Light of Sahih Hadis.

•Mehmood Ibn Lubaid se Riwayat hai ki Nabi-E-Qareem ﷺ ne farmaya: "Main tumhare baare main jis baat se sabse jyada darta hoon, vah Chhota Shirk hai,"
Sahaba ne arz kiya 'Ya Rasool Allah ﷺ Chhota Shirk kya hai?"
Irshad hua: Riya(Dikhawa) koi shaq nahi, Hashra ke din jab Allah'Ta'Aala hisaab farmayega, Aur logo ko badla diya jayega to vah Dikhawa karne walo se kahega? unhi ke paas jao jinki khatir tum Duniya main Dikhawa karte the, Aur dekho wo tumhain kya sabab dete hain,
(Bayheqi, aur Tabrani ne ese  Ahmad se riwayat kiya hai)
-The fundamentals of Touheed(हिन्दी) Page No-52

•Mehmood bin Lubaid se majeed Riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ tashreef laye or farmaya: "Logo! Chhote Shirk se bacho, Sahaba ne arz kiya ya Rasool Allah ﷺ yah Shirk kya hai?
Farmaya: Ek aadmi ibadat ke liye khada hota hai aur usme Husn aur Kashish paida karne ki koshish karta hai,
Kyonki log use dekh rahe hain, to yah Chhota Shirk hai.
(Ibne Khuzaima ke mazhua se sabhar)
-The fundamentals of Touheed(हिन्दी) Page No-53

_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages|
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

Wednesday, 8 October 2014

LESSON:07-Shirk E Akbar In the Light of Qur'an

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:04-Shirk ki Kisme
LESSON:07-Shirk E Akbar In the Light of Qur'an

•Es kism ki surat yah hai ki Allah ke siva kisi ko Mabood karar diya jaye? Yah Shirk ki sabse buri Shaql hai.
Jise mitane ke liye Ambia bheje gaye, taki ve log ko Gairullah ki ibadat se roke  Qur'an azeem mai irshad bari hai:
•Beshaq humne har qaum main Ambia bheje taki vah logo ko nasihat karen, ki sirf Allah ki ibadat kro aur buto se door raho
-Surah Nahal Ayay No-36

_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups & Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +91XXXXXXXXXX
Www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

Sunday, 5 October 2014

11 SABIT AMAL JINHE EID K DIN KIYA JAE

|| 11 SABIT AMAL JINHE EID K DIN KIYA JAE ||

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله ، وبعد

1 – Magrib k baad se Eid ki namaz tak Taqbeer padna Mustahab he.

Taqbeer is tarah padna chahiye:-

Allaahu akbar, Allaahu akbar, laa ilaaha ill-Allaah, Allaahu akbar, Allaahu akbar, wa Lillaahi’l-hamd

Ya phir ye taqbir b padhsakte he:-

Allaahu akbar, Allaahu akbar, Allaahu akbar, laa ilaaha ill-Allaah, Allaahu akbar, Allaahu akbar, Allaahu akbar, wa Lillaahi’l-hamd

Mard zor se b padh sakte he, Aurto ka zor se taqbir padna mana hai.

2 – Eid ul fitr ki namaz ko Jane se pehle taaq tadad me khajur khaae ( 1,3,5 ya 7...), Aur
•Eid ul Azha ki namaz ko jane se pehle kuch na khye, balki namaz k baad khaye

3 – Gusl karna mustahab hai.

4 –  Mard Nae ya phir Ache kapde jo unke pas ho woh pehne. [Aurte eid ki namaz me parde se jae]

5 – Eid ki Namaz Mard ho ya Aurat dono ka ada karna zaruri hai.
Note: Agar aurat haiz se ho toh Eidgah jae aur wha bethe, NAMAZ ADA NA KARE.

6 – Eid ki Namaz me Imam Pehli rakat mein  Sabbih isma rabbika al-A‘ala (Soorat al-A’la 87) ya phir
Soorat Qaaf (50) pade aur Dusri rakat mein  Hal ataaka hadeeth ul-ghaashiyah (al-Ghaashiyah 88) ya phir Soorat al-Qamar (54)  pade.

7 – Masjid pahuchne ke baad Tahiyatul Masjid ki namaz pade bina Masjid me na bethe.

8 – Eid ki Namaz se pehle Zakat al fitr ada karde.( agar eid ul fitr he toh )

9 – Eid k din ek dusre se milte waqt ye dua pade :
‘Taqabbal Allaahu minna waminkum (may Allaah accept from you and us ).”

10 – Eid k din ek raste se Eidgah jae aur dusre raste se laote.

11 – Eid ki namaz se ghar akar 2 rakat namaz ada karle.

-Zyadatar points Majmoo Fatawa Ibn uthaymeen 16/216-233  se liye hue he.

Note:-
1) Eid k din gale milna sabit nahi, agar koi bhai milne k liye aae toh usey dur b na kare.

2) Eid k din ko khas bna kar kabrastan me jana sabit nahi.

3) Eid k din roza rakna sakht mana he.

‘Taqabbal Allaahu minna waminkum (may Allaah accept from you and us ).”
_____________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_____________________________________________
From: Talib E Elm Group
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups & Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +91XXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

Friday, 3 October 2014

Part:02- Tauheed ki Kisme

-ISLAM ka Buniyadi Aqeedah-

Part:02- Tauheed ki Kisme.
Lesson-04-Tauheed ki 3 Kisme.

1)Tauheed-E-Rububiyat
(Vahdat Hakimiyat bari Ta'Aala):
•Eska mayna yah hai ki Allah'Ta'Aala ko uske kamo main ek aur akela jaan-na, Allah'Ta'Aala ke bahut se kaam hain, jaise Paida karna, Rizq dena, Zinda krna, pus en chizon main kamal tariqe par ek aur akela sirf Allah'Ta'Aala ki zaat hai,
(en chizon ko dene ki zaat sirf 1 akele Allah'Ta'Aalaakele ki hai)

2)Tauheed-E-Uluhiyat ya Tauheed-E-Elahiyat
[(Tauheed-E-Ibadat)(Allah'Ta'Aala kaahi Ibadat ka haqdaar hona)]
•Tauheed-E-Uluhiyat 'Alaha Yalahu se bane hain
Eska mayna yah hai, ki wo mabood jiski Izzat va Muhabbat ke sath Ibadat ki jaye aur Ibadat ke tamam kamo ko Allah'Ta'Aala ke liye khas kiya jaye,

3)Tauheed-E-Asma wa Sifaat
(Namo aur Sifaat main akela)]
•Eska mayna yah hai ki Banda yah Akeedah rakhe ki Allah'Ta'Aala apne Asma-wa-Sifaat main akela hai, aur uska koi barabar nahin.
-Kitabbut Tauheed Page No-06
__________________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
__________________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•WhatsApp Groups & Pages
#ISLAM the Code of Life
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
-Send to +91XXXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

Part:03-Tauheed Ki Kisme

-ISLAM ka Buniyadi Aqeedah-

Part:03-Tauheed Ki Kisme
Lesson:05-Taudeed-E-Rabubiyat ki zarurat kyon pesh aai?

•Tauheed ki yah taqseem Rasool Allah ﷺ ya Sahaba Qiram (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) main se kisi ne nahin ki, Kyonki us waqt Islam ke es Buniyadi-Aqeede ke kharab hone ki zarurat mehsoos nahi ki gai,

•Lekin Tauheed ki 3 kisme
1)Tauheed-E-Rabubiyat| 2)Tauheed-E-Uluhiyat
3)Taiheed-E-Asma wa Sifaat, Buniyadi taur par Qur'an ki Ayat, Nabi-E-Qareem ﷺ ki Hadis aur Riwayat Sahba-E-Qiram (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) ke yahan mil jati hain.

•Jab Islam Egypt, Iran, Hindustan main pahuncha aur yahan ke logo ki soch or aqeede esme dakhil hone lage, tab Tauheed ki en kismo ko wajeh(clear) karne ki zarurat pesh aai,

•Yah ek bilkul fitri baat thi ki jab en desho ke log Islam laye to apne purane mazhab ke kuchh aqeede bhi sath laye,
Jab un naye ilmi musalmano ne Zaat-E-Khuda ke bare main tarah-tarah ke falsafiyana(jin bato ki buniyad aqal par ho) bato par behas or likhai ka kaam shuru kiya to esse Islam ke buniyadi Aqeede tauheed ko khatra samne aaya.
-The fundamentals of Touheed(हिन्दी) Page No-16
(Dr Bilal Philips)
__________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
__________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups & Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +91XXXXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

Thursday, 2 October 2014

Part:01-Definition of Tauheed

-ISLAM ka Buniyadi Aqeedah-

Part:01-Definition of Tauheed
Lesson:03-Definition of Tauheed by Ibne Tayymiyan.

•Ibne Tayymiyan(R.H) farmate hain: "Insan ke aise tamam zahiri aur andruni kaam va affaal jo Allah'Ta'Aala ko pyare aur pasand ho, un tamam ko Ibadat kehte hain, Esse sabit hota hai, ki har kism ki Ibadat sirf Allah ke liye jaiz hai,
- Kitabbut Tauheed Page No-08
(By Saleh Bin Abdul Aziz)
__________________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
__________________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•WhatsApp Groups & Pages
•ISLAM the Code of Life
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
-Send to +91XXXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

Part:01-Definition of Tauheed

-ISLAM ka Buniyadi Aqeedah-
Part:01-Definition of Tauheed
Lesson:02-Tauheed word Sahih Hadis ki Roahni main?

•Tauheed ka word Qur'an or Hadis Nabwi ﷺ main kahin nahin aaya hai.
Lekin jab Nabi-E-Qareem ﷺ ne 'Muaz Bin Jabal(Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu)' ko Yaman ka Governor banakar bheja, (9Hijri).
To irshad farmaya: "Tum Isaiyon aur Yahudiyon (Ahle Kitaab) ki taraf ja rahe ho to pehla kaam jo tumain karna hai.
Vah ye hai ki unhain 'Tauheed' ki Dawat do.
-Ese Bukhari ne Hazrat Abbas(Radi'Allahu'Ta'Aala'Anhu) se riwayat kiya hai.
_____________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood Salaf of this Ummah!
_____________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•WhatsApp Groups & Pages
•ISLAM the Code of Life
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
-Send to +91XXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!

Wednesday, 1 October 2014

PART:04-Shirk ki Kisme

|| ISLAM ka buniyadi Aqeedah ||

PART:04-Shirk ki Kisme
LESSON:06-Definition and Types of Shirk

•Rabubiyat, Ibadat or Asama-wa-Sifat Touseed ki en 3 kismo main Allah ke sath kisi dusare ko shariq kiya jaye to yah 'Shirk' hoga,

•Kitab aur Sunnat ke basis par Shirk ki 2 kisme hain.
1)Shirk-E-Akbar (Bada Shirk)
2)Shirk-E-Asgar (Chhota Shirk)

•En 2 ke aitbaar se iski tisari kism bhi hai.
3)Chhupa Shirk
- Kitabbut Tauheed Page No-07

•Shirk word ka Shabdik mayna Shareeq banana,
Hissedari ya Sathi banana hai,

•According to Islamic Shariya Shirk ka matlab kisi ko Allah ka Shariq thehrana hai, chahe wah kisi Shaqal or Andaz main hi kyon na ho,
- The fundamentals of Touheed(हिन्दी)
Page No-39

_____________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood
by the Salaf of this Ummah!
_____________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups & Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +91XXXXXXXXXX
www.facebook.com/GET.LifeCode
Jazak Allahu Khairan!