Monday, 17 November 2014

LESSON:14-Qalma-E-Touheed ka Dili tour par eqrar karne or eski sharto va kamo ko sahih tour par apna lene par Allah'Ta'Aala vade ke mutabiq us bande par Jahannam ko Haraam kar dega.

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:06-Touheed ki badhai aur usse Gunaho ke mitne ka bayan.
LESSON:14-Qalma-E-Touheed ka Dili tour par eqrar karne or eski Sharto va Kamo ko Sahih tour par apna lene par Allah'Ta'Aala Vaade ke mutabiq us Bande par Jahannam ko Haraam kar dega.

•Ibtan (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) se riwayat hai, ki Nabi-E-Qareem ﷺ farmaya: Jo shakhs mahaz Allah ki khushi hasil karne ki niyatt se "La ilahaa illal lahu" ka iqrar kare, Allah'Ta'Aala us par Jahannum haram kar deta hai.
-Sahih Bukhari Hadis No-6423

•Tafseer:
>Yahi alfaz "La ilahaa illal lahu" Qalma-E-Taouheed hai, es Qalma ko Allah'Ta'Aala ki Khush-nudi ke liye Jubaan se adaa karne aur eska Dili tour par eqrar karne wala Shakhs jab eski Sharto aur Kamo ko Sahih tour par apna lain to Allah'Ta'Aala Vade ke mutabiq us bande par Jahannum ko Haram kar deta hai.
Kitabbut Tauheed Page No-20
(By Saleh Bin Abdul Aziz)

•Tafseer-2:
>Jo shakhs Touheed ka eqrar kare, aur Shirk se bach kar rahe magar Insan se Gunah hone ke naate usse kuch Gunah bhi sarjad ho gaye ho aur wo Touba kiye bagair marr jaye to uska mamla Allah'Ta'Aala ke hawale hai,
Vo chahen Gunahon ke badle mai Azab dene ke baad use Jahannum se rihaai de ya Maaff kar de aur us par shuru hi se Jahannum ko Haram kar de.
Kitabbut Tauheed Page No-20/21
(By Saleh Bin Abdul Aziz)

_________________________________________
Message Link:
http://islam-the-code-of-life.blogspot.com/2014/11/lesson14-qalma-e-touheed-ka-dili-tour.html
_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

Thursday, 13 November 2014

LESSON:13-Touheed walo ke liye Touheed ke nateejo main se ek nateeja.

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:06-Touheed ki badhai aur usse Gunaho ke mitne ka bayan
LESSON:13-Touheed walo ke liye Touheed ke nateejo main se ek nateeja.

•Ubada Bin Samit (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) se Riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: jo shakhs gawahi de ki:
> Allah'Ta'Aala ke siwa koi mabood nahin wo yaqta hai, uska koi shareeq nahi,
>Aur Muhammad ﷺ uske bande aur Rasool hain,
>Aur Esaa Alehis'Salam bhi Allah ke bande, aur uske Rasool aur uska Qalma hain, Jo usne 'Syeda Maryam Alehis'Salam ki taraf dala tha aur usi ki taraf se bheji hui rooh hain.
>Aur yah ki Jannat barhaq hain or Jahannam (Bhi) Barhaq hai, to aise shakhqs ko Allah'Ta'Aala (Baharhal) jannat main Dakhil karega chahe uske kaam kaise hi hon.
-Sahih Bhukhari Hadis No-3435

•Tafseer:
Yani wo Shakhqs amali tour par kitna hi kamtar kyon na ho aur uske Nama-E-Amaal main kitne hi gunah kyon na hon, Allah'Ta'Aala use akhir-kaar jannat main jarur dakhil karega, yah Touheed walo ke liye Touheed ke nateejo main se ek nateeja hai
- Kitabbut Tauheed- Page No-20
(By Saleh Bin Abdul Aziz)
_________________________________________
Note Link:
http://islam-the-code-of-life.blogspot.com/2014/11/lesson13-touheed-walo-ke-liye-touheed.html
_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

Saturday, 8 November 2014

LESSON:12-Jo Banda Touheed ke Eqrar aur Aitraaf main

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:06-Touheed ki badhai aur usse Gunaho ke mitne ka bayan
LESSON:12-Jo Banda Touheed ke Eqrar aur Aitraaf main jis qadar majboot ho vo usi qadar Jannat main dakhil hone ka Haqdaar hota hai, uske Amal chahe kaise hi hon, esliye Emam Mohammad (Rahamt'tullah'alay) ne Surah An'aam ki Ayaat No-82 bayan ki hai.

•Jo log Imaan laye aur unhone apne Imaan ko Julm(Shirk) se nahin milaya, un hi ke liye Aman hai aur vahi sidhe raste par hain.
-Surah An'aam Ayat No-82

•Tafseer
Zulm ka Matlab: es Ayat main 'Zulm' se muraad Shirk hai. jaisa ki 'Abdullah Bin Mas'ud (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) marvi hai, ki Sahaba Qiram (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) ne
es Ayat ko apne liye Azeem(Bojh or Mushqil) samjha to unhone arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Hum main se kon hai jisne apne upar Julm na kiya ho?
Apne farmaya: "Eska wo matlab nahin jo tum samjhte ho balki yahan 'Zulm' se murad 'Shirk' hai, kya tum ne Allah ke Neq Bande(Hazrat Luqman A.S) ka yah Qaul nahi suna,
(Hazrat Luqman ne apne bete se kaha)
•Beshaq Shirk bohat bada Zulm yani Gunah hai,
-Surah Luqman Ayat No-13
-Bukhari Hadis No-4776

_________________________________________
Following Quran and Sunnah, as understood by the Salaf of this Ummah!
_________________________________________
•Typing and Powered by
-Shoaib Bin Anwar
•ISLAM the Code of Life
-WhatsApp Groups| Blogs| Pages
•Lets Join:Send
-Full Name| City Name| 10Digit No.
•Send to +919762004786
www.facebook.com/GET.LifeCode
Http://islam-the-code-of-life.blogspot.in
Jazak Allahu Khairan!

LESSON:11-Allah ka Bando par, Aur Bando ka Allah par Haq

|| ISLAM ka Buniyadi Aqeedah ||

PART:05-Touheed Tamam ibadaton ki buniyad hai.
LESSON:11-Allah ka Bando par, Aur Bando ka Allah par Haq

•Hazrat Mu'Aaz Bin Jabal (Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu) Farmate hain:
Ek baar main Nabi-E-Qareem ﷺ ke peeche Gadhe par sawar tha ki aap ne mujhse farmaya:
Aye Mu'Az(Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu)! Kya tum jaante ho Allah ka Bando par aur Bando ka Allah par kya Haq hai?
Maine kaha "Allah or uske Rasool hi behtar jaante hain"
Apne faryama "Allah ka bando par tah Haq hai, ki wo sirf usi ki ibadat kare, Aur uske sath kisi ko shariq na thehrayen, Aur bando ka bhi Allah ke jimme yah Haq hai ki jo banda Shirk karne wala na ho, wo use Azaab na dey"
(Mu'Aaz Radi'Allahu' Ta'Aala'Anhu kehte hain)  Maine Kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! (Ejazat ho to) Logo ko yah Khush-khabri suna dun? Aap ne farmaya: "Aisa na ho ki wo esi par bharosa karke baith jayain, (Aur amal karna chhor dain)"
-Sahih Bukhari Hadis No-6267
-Sahih Muslim Hadis No-30

•Eske baad aapne farmaya "Allah'Ta'Aala ke jimme Bando ka yah Haq hai ki jo banda uske sath kisi ko shariq na thehraye to wo use Azaab na dey"

•Ahle ilm es baat par ekhatte hain ki bando ke liye Allah'Ta'Aala ne yah Haq apne Upar Khud-Ba-Khud Zaruri kiya hai, warna koi hasti ya Shakhsiyat aisi nahin jo Allah'Ta'Aala par kisi cheez ko zaruri kar sake,

• Allah'Ta'Aala Hiqmat ke Aitbaar se jis cheez ko chahe apne upar Wajib ya Haram kar leta hai, jaisa ki ek Hadis-E-Qudsi main hai, ki "Main (Allah'Ta'Aala) ne Zulm ko apne upar Haram kar rakha hai" yani main kisi par zulm nahi karta
-Kitabbut Tauheed Page No-14